Wednesday, July 14, 2010

Hum dono ko hee pyaar hai,

Jisse mujhko pyaar hai, usko bhi mujhse pyaar hai.
Ab main kya batau tumko, mere dil ka kya haal hai.
Jo mere dil ka haal hai, wohi uske bhi dil ka haal hai,
Ab main kya batau tumko, mera dil kitna bekaraar hai.
Jaise mera dil bekaraar hai, vaise hee uska bhi dil bekaraar hai,
Ab main kya batau tumko, mera to bura haal hai.
Jaise mera bura haal hai, vaise hee uska bhi bura haal hai,
Ab main kya batau tumko, hum dono ko hee pyaar hai.

Acha Lagta hai,

yun chupkay chupkay un say aankh larana kiun acha lagta hai
un ki perchai kay pecahy jana kiun acha lagta hai
un kay naam say apna naam milana kiun acah lagta hai
un ka hamaray khuwabon main ana kiun acaha lagta hai
un ki hathon ki chori ka khanakna kiun acha lagta hai
un kay chhray ka rang badalna kiun acha lagta hai
mujh ko such say inkar nahin
kay chese koi yeh pyar nahin
laikin khud ko pyar ka dhoka dena kiun acha lagta hai

Yours,

Your smile makes me feel happy,
Your sorrow makes me cry,
Your looks makes me crazy,
Your anger makes me dry,
Your words makes me naughty,
And Your tears makes me die.

Kaisi thi woh raat

Kaisi thi woh raat kuch keh sakta nahi main
Chahoon kehna to bayan kar sakta nahi mai,

Dulhan ban ke meri jab woh bahoon main aayee thi
Sej saji thi phoolon ki par us ne mehkai thi,

Ghunghat mein ik chand tha aur sirf tanhai thi
Awaaz dil ke dhadak ne ki bhi phir zor se aayee thi,

Pyar se jo maine ghunghat chand par se hataya tha
Pyar ka rang bhi utarkar uske chehre par aya tha,

Bahoon mein le kar usko phir laboo ki lali churai thi
Us sard raat mein saanse bhi shola ban kar takrai thi,

Tika,bindi,kangna, payal sabne shor machaya tha
Jab uske shokh badan ko maine haath lagaya tha,

Doob gaye the hum dono us dehekti pyar ki aag mein
Tod diya tha hum ne kaliyo ko uske pyar ke baag mein,

Kya batlaaye ab hum, woh raat kis kadar nirali thi
Hamare suhag ki woh raat,jo itni matwali thi……

Unhone apna kabhi bnaya hi nhi

Unhone apna kabhi bnaya hi nhi, jootha hi sahi pyar dikhaya hi nahi.
Galtiyan apni hum maan bhi jaate, par kya kare kasoor hamara hume btaya hi nahi.

Hazaro jhopdiya jalkar rakh hoti hain, tab jakar kahi ek mahal banta hai.
Aashiqo ke marne pe kafan bhi nhi milta, or hasinao ke marne pe tajmahal banta hai.

Zindagi mein aise mauke aate hain, kuchh lamhe hasate hain kuchh rulate hain.
Kisi bahane hamein yaad karte rehna, warna aaj-kal log naam tak bhool jate hain.

Dil main hai jo dard woh dard kis se bataein, haste hue ye zakhm kise dikhayen,
Kehti hai ye duniya hame khush naseeb, magar is naseeb ki dastaan kise batein…

Jaane Kyon

Jaane Kyon Hume Tumse Pyaar Hai
Jaane Kyon Tumhe Lekin Inkaar Hai

Jaane Kyon Tadapte Hain Dekhne Ko Tumhe
Jaane Kyon Nahi Hota Tera Dedaar Hai

Jaane Kyon Dil Dete Hain Hum Tumhi Ko
Jaane Kyon Dil Todte Aap Baar Baar Hai

Jaane Kyon Bhatakti Ho Kashti Ki Tarah
Jaane Kyon Tumhe Sahil Ka Intejaar Hai

Jaane Kyon Yakeen Hai Mujhe Wafa Pe Teri
Jane Kyon Nahi Aapko Mujh Per Etbaar Hai

Ek Hasina,

Mere khwaboo mein ek hasina thi,
yadhon mein uski kuch kami na thi,
Zulfe jab uski aankhein me thi,
Nasha mere saanso me thi,
Nigayeh uski kabhi mere samney na thi,
Kyuki woh is duniye me sabse hasina thi.

Deewana hu

Deewana hu tera inkaar nahi,
Kaise keh du ke pyar nahi,
Kuch shararat to teri nazaron main bhi thi,
Main akela hi gunaahgar nahi.

Do dil jaha milege

Do dil jaha milege, barsaat to ho jaayegee,
Pahali hi mulakaat me, kuchh baat to ban jaayegee.
Sataayegee yaad priye ki, tarpaayegee tanhaiyaa,
Chehra dikhaayee degaa, man bhaayegee parchaaiyaa.
Fir bhee milege chhup ke, manjil najar aayegee,
Do dil jaha milege, barsaat to ho jaayegee.


Dil se dil milegaa, najare kahegee baate,
Dharkan badhegee dil ki, aati rahegee yaade.
Teri churiyo ki khan khanahat, kano ko dhun sunaayegee,
Do dil jaha milege, barsaat to ho jaayegee.


Sachche hai dono dil ke, pakke bane pujari,
Too hai meri manjil, mai hoo teri aataari.
Sote huye swapne me, teri tasvir najar aayegee,
Do dil jaha milege, barsaat to ho jaayegee.


Sangharsh khatm hogaa, ban jaayegee sari baat,
Sahmat ki hawa chalegee, le aaugaa mai barat.
Milane ke vakt par too, aane me sarmaayegee,
Do dil jaha milege, barsaat to ho jaayegee.


Milege dono jab, aayegee subh ghari wah,
Baaho ki haar ka, pahanaayee maalaa jab.
Meri teri khushi ke, fir kaliyaa khil khilaayee,
Do dil jaha milege, barsaat to ho jaayegee.

Aarzoo,

Ye arzoo thi ki aisa bhi kuch hua hota,
Meri kami ne tujhe bhi rula diya hota,
Main laut aata tere paas ek lamhe me,
Tere laboan ne mera naam to liya hota..!

Kash!,

Kash humari bi parwah kisi ne ki hoti.
to ye dunia humse khafa na hoti.,
Aata hume bi aapki tarah muskarana,
to humse bhi muhabbat kisi ne ki hoti....!!

Ye kaisa hai ehsaas

Ye kaisa hai ehsaas,
Tu hi tu hai dil ke paas,
Neend hai ki aati nahin,
Aur badhti jaati hai pyaas!!!

Kall Ki Raat

Kall Ki Raat toa Bahut hi Khusnuma si gujri hai,
Kuch tanha par kuch khas gujri hai,
Na to neend aai hame aur na aaya khawab koi,
Bas kall ki raat to aap hi ke khayalon ke saath gujari hai.