Wednesday, March 24, 2010

Dushyant kumar poems hindi kavita

Ek gudiya ki kai kathaputliyon mein jaan hai
aaj shayar ye tamasha dekh kar hairaan hai

khaas sadaken band hain tab se marammat ke liye
ye humare waqt ki sabse badi pahchaan hai

ek budha aadami hai mulk mein ya youn kaho
is andheri kothari mein ek roshandaan hai

maslahat aameez hote hain siyaasat ke kadam
tu na samajhega siyaasat tu abhi insaan hai

is kadar pabandi-e-mazahab ki sadaken aapki
jab se aazadi mili mulk mein ramzaan hai

kal numaaish mein mila wo cheethardhe pahne hue
maine poocha naam to bola hindustaan hai

mujh mein rahte hain karodon log chup kaise rahoon
har ghazal ab saltanat ke naam ek bayaan hai

No comments:

Post a Comment