Wednesday, March 24, 2010

ho gayi hai peer parvat si pighalni chaahiye Dushyant kumar

Ho gayi hai peer parvat si pighalni chaahiye
Is Himalay se koi Ganga nikalni chaahiye

Aaj ye deewaar pardo ki tarah hilne lagi
Shart lekin thi ke ye buniyaad hilni chaahiye

Har sadak par har gali mein har nagar har gaanv mein
Haath lahraate huye har laash chalni chaahiye

Sirf hungaama khada karna mera maksad nahi
Saari koshish hai ke ye soorat badalni chaahiye

Mere seene mein nahi to tere seene mein sahi
Ho kahin bhi aag lekin aag jalni chaahiye


हो गई है पीर पर्वत-सी पिघलनी चाहिए,
इस हिमालय से कोई गंगा निकलनी चाहिए।

आज यह दीवार, परदों की तरह हिलने लगी,
शर्त लेकिन थी कि ये बुनियाद हिलनी चाहिए।

हर सड़क पर, हर गली में, हर नगर, हर गाँव में,
हाथ लहराते हुए हर लाश चलनी चाहिए।

सिर्फ हंगामा खड़ा करना मेरा मकसद नहीं,
सारी कोशिश है कि ये सूरत बदलनी चाहिए।

मेरे सीने में नहीं तो तेरे सीने में सही,
हो कहीं भी आग, लेकिन आग जलनी चाहिए।

No comments:

Post a Comment