sukuun-e-jaaN  ke liye ab maiN duaa kaise karuN
dard jab tuune diya hai to gilaa kaise karuN

aksar lauTaa huun manzil se yahi soch  ke maiN
ab muqammal ye safar tere binaa kaise karuN

mere  she’roN mein yeh asar kahaaN tha pehle
karz maiN teri jafaaon ka adaa kaise karuN

zindagi bhar ki wafaaoN ka silaa hai  yaaro
dil-e-barbaad ke zaKhmoN ki davaa kaise karuN

thi  koi mere hi haaThon ki lakeeroN meiN kamii
apni taqdeer ka ab tujhse gilaa kaise karuN

meri nas-nas meiN basaa hai jo lahuu  ban ke Dost
uski yaadoN se kinaara maiN bhalaa kaise karuN

ab  munaasib hai yahi usko bhulaa duuN “Anil”
haaN , magar phuul ko khushbuu se judaa kaise karuN

No comments:
Post a Comment